Bachchon Ka Julus

ghubare sitare

gulabi sharabi khule parchamon ke sharare uDate

hazaron ki tadad mein wo gharon se schoolon se aae

dahakte hue gal uDte hue baal

jismon ke moti

wo shabnam the lekin

badalte gae garm lawe mein paiham

wo bahte gae mauj-dar-mauj har rah guzar par

falak-bos naron se apne watan ke nae ya purane

chale wo baDhe wo

sabhi mushtahar dushmanon ko miTane

magar shoKH chehron ke is karwan mein

tasawwur mein bante sanwarte hue surmaon se haT kar

KHuda jaane kaise kahan se wo aaya

wo nanha sa masum baalak

jo KHamosh hairan pareshan

ghubaron shararon falak-bos naron

ke be-rahm dariya mein bahta luDhakta chala ja raha tha

use kaun pahchanta jab tamashaiyon ki safon mein

use dekhne wala koi nahin tha

(4891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bachchon Ka Julus In English By Famous Poet Balraj Komal. Bachchon Ka Julus is written by Balraj Komal. Read famous Poem Bachchon Ka Julus for youth and Student by Balraj Komal. Free Download Bachchon Ka Julus in PDF.