Dusra Janm

udasi ghani aur gahri udasi ka saya

shagufon ki sargoshiyan

chand chehron ke KHake

nigahon ke mauhum se daeron mein koi ajnabi be-zaban raushni

ye na farda na maujud

ye munqalib ho raha hai jo lamha

agar ye amal hai to sirf amal hai

lab-e-ju-e-mai KHamushi

aur said-e-fughan koi harf-e-takallum

kahin rahguzar par mere chashm-o-lab

aur aawaz se raushni ki kashakash

bahut fasla hai mere aur mere tasawwur ke sahil mein

us se pare ek jahan-e-digar hai

lab-e-ju-e-mai gharq-e-afaq hun

dusri bar shayad janm le raha hun

(5713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dusra Janm In English By Famous Poet Balraj Komal. Dusra Janm is written by Balraj Komal. Read famous Poem Dusra Janm for youth and Student by Balraj Komal. Free Download Dusra Janm in PDF.