Biswin Sadi Ke Hum Shair-e-pareshan Hain

biswin sadi ke hum shair-e-pareshan hain

masalon mein uljhe hain fikr-o-gham mein ghaltan hain

Dub kar ubhar aae maut se gale mil kar

apni saKHt-jaani ke KHud hi hum nigahban hain

hum to Thahre diwane hum to Thahre sahrai

ahl-e-fahm-o-danish ke chaak kyun gareban hain

kab hisab manga tha aap ki jafaon ka

kyun jhuki jhuki nazren kis liye pasheman hain

aaj tak hai gham taza dost se bichhaDne ka

ab bhi aankhen roti hain zaKHm-e-dil-farozan hain

sab ke hum rahe apne kaun hai magar apna

DhunDhte hain apnon ko hum bhi kitne nadan hain

'tahira' zamane ki karwaTon ka kya kahna

honge ye bhi virane aaj jo gulistan hain

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Biswin Sadi Ke Hum Shair-e-pareshan Hain In English By Famous Poet Bano Tahira Sayeed. Biswin Sadi Ke Hum Shair-e-pareshan Hain is written by Bano Tahira Sayeed. Read famous Poem Biswin Sadi Ke Hum Shair-e-pareshan Hain for youth and Student by Bano Tahira Sayeed. Free Download Biswin Sadi Ke Hum Shair-e-pareshan Hain in PDF.