Lab-e-jaan-baKHsh Ke MiThe Ka Tere Jo Maza Paya

lab-e-jaan-baKHsh ke miThe ka tere jo maza paya

to chashma zindagi ka apni labrez-e-baqa paya

na hoe kyun ba-sad jaan dil mera maftun tera jaanan

ki har jalwe mein tere yak karishma main juda paya

do-baala kyun na ho nashsha dil-e-hairan ki hairat ka

jo tujh ko sab mein aur tere mein sab ko barmala paya

teri ek gadish-e-mizgan se yun be-tab-o-taqat hun

na kah sakta hun kuchh gar koi puchhe tu ne kya paya

na duniya us mein rah pawe na uqba us ko phailawe

dil-e-'agah' ke kausar mein jin ne inziwa paya

(541) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-jaan-baKHsh Ke MiThe Ka Tere Jo Maza Paya In English By Famous Poet Baqar Agah Vellori. Lab-e-jaan-baKHsh Ke MiThe Ka Tere Jo Maza Paya is written by Baqar Agah Vellori. Read famous Poem Lab-e-jaan-baKHsh Ke MiThe Ka Tere Jo Maza Paya for youth and Student by Baqar Agah Vellori. Free Download Lab-e-jaan-baKHsh Ke MiThe Ka Tere Jo Maza Paya in PDF.