Mein Ghash Mein Hun Mujhe Itna Nahin Hosh

mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh

tasawwur hai tera ya tu ham-aghosh

jo nalon ki kabhi wahshat ne Thani

pukara zabt bas KHamosh KHamosh

kise ho imtiyaz-e-jalwa-e-yar

hamein to aap hi apna nahin hosh

uTha rakkha hai ek tufan tu ne

are qatre tera allah-re josh

main aisi yaad ke qurban jaun

kiya jis ne do-alam ko faramosh

hai beganon se KHali KHalwat-e-raaz

chale jaen na ab aaen mere hosh

karo rindo gunah-e-mai-parasti

ki saqi hai ata-pash o KHata-posh

tere jalwe ko musa dekhte kya

naqab uThne se pahle uD gae hosh

karam bhi us ka mujh par hai sitam bhi

ki pahlu mein hai zalim aur ru-posh

piyo to KHum ke KHum pi jao 'bedam'

are mai-nosh ho tum ya bala-nosh

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mein Ghash Mein Hun Mujhe Itna Nahin Hosh In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Mein Ghash Mein Hun Mujhe Itna Nahin Hosh is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Mein Ghash Mein Hun Mujhe Itna Nahin Hosh for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Mein Ghash Mein Hun Mujhe Itna Nahin Hosh in PDF.