Mujhse Chhup Kar Mere Armanon Ko Barbaad Na Kar

mujh se chhup kar mere armanon ko barbaad na kar

dad-KHwahi ke liye aaya hun bedad na kar

dekh miT jaega hasti se guzar jaega

dil-e-na-aqebat-andesh unhen yaad na kar

aa gaya ab to mujhe lutf-e-asiri sayyaad

zabh kar Dal magar qaid se aazad na kar

jis pe marta hun use dekh to lun ji bhar ke

itni jaldi tu mere qatl mein jallad na kar

aap to zulm lagatar kiye jate hain

mujh se takid pe takid hai fariyaad na kar

jalwa dikhla ke mera luT liya sabr-o-qarar

phir ye kahte hain ki tu nala-o-fariyaad na kar

aap hi apni jafaon pe pasheman hain wo

un ko mahjub ziyaada dil-e-nashad na kar

ai saba kucha-e-jaanan mein paDa rahne de

KHak hum KHak-nashinon ki to barbaad na kar

hum to jab samjhen ki han dil pe hai qabu 'bedam'

wo tujhe bhul gae to bhi unhen yaad na kar

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Chhup Kar Mere Armanon Ko Barbaad Na Kar In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Mujhse Chhup Kar Mere Armanon Ko Barbaad Na Kar is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Mujhse Chhup Kar Mere Armanon Ko Barbaad Na Kar for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Mujhse Chhup Kar Mere Armanon Ko Barbaad Na Kar in PDF.