Na Mehrab-e-haram Samjhe Na Jaane Taq-e-but-KHana

na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-KHana

jahan dekhi tajalli ho gaya qurban parwana

dil-e-azad ko wahshat ne baKHsha hai wo kashana

ki ek dar jaanib-e-kaba hai ek dar su-e-but-KHana

bina-e-mai-kada Dali jo tu ne pir-e-mai-KHana

to kaba hi raha kaba na phir but-KHana but-KHana

kahan ka tur mushtaq-e-laqa wo aankh paida kar

ki zarra zarra hai nazzara-gah-e-husn-e-jaanana

KHuda puri kare ye hasrat-e-didar ki hasrat

ki dekhun aur tere jalwon ko dekhun be-hijabana

shikast-e-tauba ki taqrib mein jhuk jhuk ke milti hain

kabhi paimana shisha se kabhi shishe se paimana

saja kar laKHt-e-dil se kashti-e-chashm-e-tamanna ko

chala hun bargah-e-ishq mein le kar ye nazrana

kabhi jo parda-e-be-surati mein jalwa-farma the

unhin ko aalam-e-surat mein dekha be-hijabana

meri duniya badal di jumbish-e-abru-e-jaanan ne

ki apna hi raha apna na ab begana na begana

jala kar shama parwane ko sari umr roti hai

aur apni jaan de kar chain se sota hai parwana

kisi ki mahfil-e-ishrat mein paiham daur chalte hain

kisi ki umr ka labrez hone ko hai paimana

hamari zindagi to muKHtasar si ek kahani thi

bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana

ye lafz-e-salik-o-majzub ki hai sharh ai 'bedam'

ki ek hoshyar-e-KHatm-ul-mursalin aur ek diwana

(1181) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Mehrab-e-haram Samjhe Na Jaane Taq-e-but-KHana In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Na Mehrab-e-haram Samjhe Na Jaane Taq-e-but-KHana is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Na Mehrab-e-haram Samjhe Na Jaane Taq-e-but-KHana for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Na Mehrab-e-haram Samjhe Na Jaane Taq-e-but-KHana in PDF.