Na To Apne Ghar Mein Qarar Hai Na Teri Gali Mein Qayam Hai

na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

teri zulf o ruKH ka farefta kahin subh hai kahin sham hai

tere ek na hone se saqiya na wo mai na shisha-o-jam hai

na wo subh ab meri subh hai na wo sham ab meri sham hai

na to chakhna jis ka azab hai na to pina jis ka haram hai

sar-e-bazm saqi ne di wo mai ki surur jis ka mudam hai

main duaen dun to wo galiyan karen baat baat par bhabtiyan

ye ajib taur-o-tariq hain ye ajib tarz-e-kalam hai

wo sitam se baz na aaenge yunhi zulm karte hi jaenge

unhen kya mare ki jiye koi unhen apne kaam se kaam hai

mera dil dahalne laga abhi do ghaDi tu dur hai ham-nashin

KHabar-e-visal nahin suni ye meri qaza ka payam hai

bache kis tarah se mariz-e-gham na tum aa sako na bula sako

yahi haalaten hain to dekhna koi dam mein qissa tamam hai

pise dil hazaron taDap gae jo sisak rahe the wo mar gae

uThe fitne hashr bapa hua ye ajib tarz-e-KHiram hai

ajab aashiqon ki namaz hai naya 'bedam' un ka niyaz hai

ki qayam hai na quud hai na to sajda hai na salam hai

(1397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na To Apne Ghar Mein Qarar Hai Na Teri Gali Mein Qayam Hai In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Na To Apne Ghar Mein Qarar Hai Na Teri Gali Mein Qayam Hai is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Na To Apne Ghar Mein Qarar Hai Na Teri Gali Mein Qayam Hai for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Na To Apne Ghar Mein Qarar Hai Na Teri Gali Mein Qayam Hai in PDF.