Parde UThe Hue Bhi Hain Unki Idhar Nazar Bhi Hai

parde uThe hue bhi hain un ki idhar nazar bhi hai

baDh ke muqaddar aazma sar bhi hai sang-e-dar bhi hai

jal gai shaKH-e-ashiyan miT gaya tera gulsitan

bulbul-e-KHanuman-KHarab ab kahin tera ghar bhi hai

ab na wo sham sham hai apni na wo sahar sahar

hone ko yun to roz hi sham bhi hai sahar bhi hai

chahe jise banaiye apna nishana-e-nazar

zad pe tumhaare tir ke dil bhi hai aur jigar bhi hai

din ko usi se raushni shab ko usi se chandni

sach to ye hai ki ru-e-yar shams bhi hai qamar bhi hai

zulf-ba-dosh be-naqab ghar se nikal khaDe hue

ab to samajh gae huzur nalon mein kuchh asar bhi hai

'bedam'-e-KHasta ka mazar aap to chal ke dekhiye

shama bana hai dagh-e-dil bekasi nauhagar bhi hai

(1294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parde UThe Hue Bhi Hain Unki Idhar Nazar Bhi Hai In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Parde UThe Hue Bhi Hain Unki Idhar Nazar Bhi Hai is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Parde UThe Hue Bhi Hain Unki Idhar Nazar Bhi Hai for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Parde UThe Hue Bhi Hain Unki Idhar Nazar Bhi Hai in PDF.