Pas-e-adab Mujhe Unhen Sharm-o-haya Na Ho

pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho

nazzara-gah mein asar-e-ma-siwa na ho

mana meri qubul nahin hai dua na ho

itna hi ho ki us pe asar ghair ka na ho

kyun kar kahun ki pas unhen ghair ka na ho

jo ghusse mein bhi kahte hain tera bura na ho

is parde mein to kitne gireban chaak hain

wo be-hijab hon to KHuda jaane kya na ho

takiye mein kya rakha hai KHat-e-ghair ki tarah

dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho

mil kar gale wo karte hain KHanjar ki tarah kaT

is par bhi kah raha hun ki mujh se juda na ho

musa ka haal dekh ke dil kanpne laga

ab to dua hai un se mera samna na ho

wo bar bar mera lipaTna shab-e-visal

un ka jhijak ke kahna koi dekhta na ho

'bedam' ki zindagi hai isi chheD-chhaD mein

tark-e-wafa ki tarah se tark-e-jafa na ho

(1381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-adab Mujhe Unhen Sharm-o-haya Na Ho In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Pas-e-adab Mujhe Unhen Sharm-o-haya Na Ho is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Pas-e-adab Mujhe Unhen Sharm-o-haya Na Ho for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Pas-e-adab Mujhe Unhen Sharm-o-haya Na Ho in PDF.