Sahaara Maujon Ka Le Le Ke BaDh Raha Hun Main

sahaara maujon ka le le ke baDh raha hun main

safina jis ka hai tufan wo naKHuda hun main

KHud apne jalwa-e-hasti ka mubtala hun main

na muddai hun kisi ka na muddaa hun main

kuchh aage aalam-e-hasti se gunjta hun main

ki dil se TuTe hue saz ki sada hun main

paDa hua hun jahan jis tarah paDa hun main

jo tere dar se na uTThe wo naqsh-e-pa hun main

jahan-e-ishq mein go paikar-e-wafa hun main

teri nigah mein jab kuchh nahin to kya hun main

tajalliyat ki taswir khinch kar dil mein

tasawwuraat ki duniya basa raha hun main

junun-e-ishq ki nairangiyan are tauba

kabhi KHuda hun kabhi banda-e-KHuda hun main

badalti rahti hai duniya mere KHayalon ki

kabhi mila hun kabhi yar se juda hun main

hayat o maut ke jalwe hain meri hasti mein

taghayyuraat-e-do-alam ka aaina hun main

teri ata ke tasadduq tere karam ke nisar

ki ab to apni nazar mein bhi dusra hun main

baqa ki fikr na andesha-e-fana mujh ko

tayyunat ki had se guzar gaya hun main

mujhi ko dekh len ab tere dekhne wale

tu aaina hai mera tera aaina hun main

main miT gaya hun to phir kis ka nam hai 'bedam'

wo mil gae hain to phir kis ko DhunDhta hun main

(1322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahaara Maujon Ka Le Le Ke BaDh Raha Hun Main In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Sahaara Maujon Ka Le Le Ke BaDh Raha Hun Main is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Sahaara Maujon Ka Le Le Ke BaDh Raha Hun Main for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Sahaara Maujon Ka Le Le Ke BaDh Raha Hun Main in PDF.