Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-mai-parasti Hai

ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai

ghaTa ke bhes mein mai-KHane par rahmat barasti hai

ye jo kuchh dekhte hain hum fareb-e-KHwab-e-hasti hai

taKHayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai

wahan hain hum jahan 'bedam' na virana na basti hai

na pabandi na aazadi na hushyari na masti hai

teri nazron pe chaDhna aur tere dil se utar jaana

mohabbat mein bulandi jis ko kahte hain wo pasti hai

wahi hum the kabhi jo raat din phulon mein tulte the

wahi hum hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai

karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri

jahan mein mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai

ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja

ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai

har ek zarre mein hai inni-anallah ki sada saqi

ajab mai-kash the jin ki KHak mein bhi josh-e-masti hai

KHuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shola-afshani

ki tu wo shama hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai

mere dil ke siwa tu ne bhi dekhi bekasi meri

ki aabaadi na ho jis mein koi aisi bhi basti hai

hijabaat-e-tayyun mane-e-didar samjha tha

jo dekha to naqab-e-ru-e-jaanan meri hasti hai

ajab duniya-e-hairat aalam-e-gor-e-ghariban hai

ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai

kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai

kahin iKHfa-e-masti hai kahin izhaar-e-masti hai

banaya rashk-e-mahr-o-mah teri zarra-nawazi ne

nahin to kya hai 'bedam' aur kya 'bedam' ki hasti hai

(1618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-mai-parasti Hai In English By Famous Poet Bedam Shah Warsi. Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-mai-parasti Hai is written by Bedam Shah Warsi. Read famous Poem Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-mai-parasti Hai for youth and Student by Bedam Shah Warsi. Free Download Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-mai-parasti Hai in PDF.