Baat Karne Ki Shab-e-wasl Ijazat De Do

baat karne ki shab-e-wasl ijazat de do

mujh ko dam bhar ke liye ghair ki qismat de do

tum ko ulfat nahin mujh se ye kaha tha main ne

hans ke farmate hain tum apni mohabbat de do

hum hi chuke sahar-e-wasl manana hi na tha

ab hai ye hukm ki jaane ki ijazat de do

muft lete bhi nahin pher ke dete bhi nahin

yun sahi KHair ki dil ki hamein qimat de do

kam nahin pir-e-KHarabaat-nashin se 'beKHud'

mai-kasho to use mai-KHane ki KHidmat de do

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Karne Ki Shab-e-wasl Ijazat De Do In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Baat Karne Ki Shab-e-wasl Ijazat De Do is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Baat Karne Ki Shab-e-wasl Ijazat De Do for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Baat Karne Ki Shab-e-wasl Ijazat De Do in PDF.