Bazm-e-dushman Mein Bulate Ho Ye Kya Karte Ho

bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karte ho

aur phir aankh churaate ho ye kya karte ho

baad mere koi mujh sa na milega tum ko

KHak mein kis ko milate ho ye kya karte ho

hum to dete nahin kuchh ye bhi zabardasti hai

chhin kar dil liye jate ho ye kya karte ho

kar chuke bas mujhe pamal adu ke aage

kyun meri KHak uDate ho ye kya karte ho

chhinTe pani ke na do nind bhari aankhon par

sote fitne ko jagate ho ye kya karte ho

ho na jae kahin daman ka chhuDana mushkil

mujh ko diwana banate ho ye kya karte ho

mohtasib ek bala-nosh hai ai pir-e-mughan

chaT par kis ko lagate ho ye kya karte ho

kaam kya dagh-e-suwaida ka hamare dil par

naqsh-e-ulfat ko miTate ho ye kya karte ho

phir isi munh pe nazakat ka karoge dawa

ghair ke naz uThate ho ye kya karte ho

us sitam-kesh ke chakmon mein na aana 'beKHud'

haal-e-dil kis ko sunate ho ye kya karte ho

(1134) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-dushman Mein Bulate Ho Ye Kya Karte Ho In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Bazm-e-dushman Mein Bulate Ho Ye Kya Karte Ho is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Bazm-e-dushman Mein Bulate Ho Ye Kya Karte Ho for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Bazm-e-dushman Mein Bulate Ho Ye Kya Karte Ho in PDF.