Dil Chura Le Gai Duzdida-nazar Dekh Liya

dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya

hum na kahte the ki us chor ne ghar dekh liya

banda-parwar gham-e-furqat ka asar dekh liya

dagh-e-dil dekh liya dagh-e-jigar dekh liya

qad bhi kam umr bhi kam mashq-e-sitam aur bhi kam

kar chuke qatl mujhe jaiye ghar dekh liya

shikwe ke sath lagawaT bhi chali jati hai

jab kiya kuchh to kanakhiyon se idhar dekh liya

dad-KHwahon pe nai hashr mein aafat aai

saf ki saf loT gai us ne jidhar dekh liya

qatl-e-ushshaq pe lo aur uThao KHanjar

jhuk gai bar-e-nazakat se kamar dekh liya

na chhuTa tum se ye mai-KHane ka rasta 'beKHud'

munh chhupae hue jate ho kidhar dekh liya

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Chura Le Gai Duzdida-nazar Dekh Liya In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Dil Chura Le Gai Duzdida-nazar Dekh Liya is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Dil Chura Le Gai Duzdida-nazar Dekh Liya for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Dil Chura Le Gai Duzdida-nazar Dekh Liya in PDF.