JhuT Sach Aap To Ilzam Diye Jate Hain

jhuT sach aap to ilzam diye jate hain

baat sunte nahin dushnam diye jate hain

tirchhi nazron se kiye us ne bahut dil zaKHmi

tir TeDhe magar kaam diye jate hain

kah gaya ye bhi koi ruTh ke jaane wala

hum tujhe maut ka paigham diye jate hain

pasban jag uThen wo to unhen de dena

likh ke kaghaz pe ye ek nam diye jate hain

aap ke lutf-o-inayat ka yahi hai badla

gham liye jate hain aaram diye jate hain

dil hua jaan hui un ki bhala kya qimat

aisi chizon ke kahin dam diye jate hain

tir-e-qatil ko kaleje se laga rakkha hai

hum to dushman ko bhi aaram diye jate hain

kaam aa jaega dushman ki mohabbat mein kabhi

ehtiyatan dil-e-nakaam diye jate hain

ab to khul khele wo 'beKHud' se KHuda KHair kare

ab to KHud bhar ke use jam diye jate hain

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JhuT Sach Aap To Ilzam Diye Jate Hain In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. JhuT Sach Aap To Ilzam Diye Jate Hain is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem JhuT Sach Aap To Ilzam Diye Jate Hain for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download JhuT Sach Aap To Ilzam Diye Jate Hain in PDF.