Mujhko Na Dil Pasand Na Wo Bewafa Pasand

mujh ko na dil pasand na wo bewafa pasand

donon hain KHud-gharaz mujhe donon hain na-pasand

ye dil wahi to hai jo tumhein ab hai na-pasand

mashuq kar chuke hain jise bar-ha pasand

jins-e-wafa ko karte hain ahl-e-wafa pasand

dushman ko kya tamiz hai dushman ki kya pasand

jannat ki koi hur nazar par chaDhi nahin

duniya mein mujh ko ek pari-zad tha pasand

rondi kisi ne pa-e-hinai se meri nash

thi zindagi mein mujh ko jo bu-e-hina pasand

wo bad-nasib hai jise aaya pasand tu

qismat to us ki hai jise tu ne kiya pasand

chiDte hain wo sawal se ye hum samajh gae

hai is liye unhen dil be-muddaa pasand

surat bhi pesh-e-chashm hai sirat bhi pesh-e-chashm

dam bhar mein to pasand hai dam bhar mein na-pasand

tujh ko ghurur-e-zohd hai sharm-e-gunah mujhe

zahid kise KHabar ki KHuda ko ho kya pasand

choTen chalengi KHub barabar ki joD hai

tu hai ada-shanas to main hun ada-pasand

hir phir ke un ki aankh udu se laDe na kyun

fitna ko karti hai nigah-e-fitna-za pasand

main KHud sikha raha hun sitam ki ada unhen

duniya mein kab hua koi mujh sa jafa-pasand

rakh denge aaine ke barabar hum apna dil

ya to ye na-pasand hua un ko ya pasand

kis darja sada-lauh hain aashiq-mizaj bhi

jo Dhab pe chaDh gaya wo unhen aa gaya pasand

mera hi kya qusur ye mujh par sitam hai kyun

aankhon ne dekha aap ko dil ne kiya pasand

inkar sun chuke hain talabgar kyun banen

milta nahin koi to hai be-faeda pasand

'beKHud' to mar miTe jo kaha us ne naz se

ek sher aa gaya hai hamein aap ka pasand

(1102) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Na Dil Pasand Na Wo Bewafa Pasand In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Mujhko Na Dil Pasand Na Wo Bewafa Pasand is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Mujhko Na Dil Pasand Na Wo Bewafa Pasand for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Mujhko Na Dil Pasand Na Wo Bewafa Pasand in PDF.