Qayamat Hai Jo Aise Par Dil-e-ummid-war Aae

qayamat hai jo aise par dil-e-ummid-war aae

jise wade se nafrat ho jise milne se aar aae

meri be-tabiyan chha jaen ya-rab un ki tamkin par

taDapta dekh lun aankhon se jab mujh ko qarar aae

miTa dun apni hasti KHak kar dun apne-ape ko

meri baaton se gar dushman ke bhi dil mein ghubar aae

ijazat mangti hai duKHt-e-raz mahfil mein aane ki

maza ho shaiKH-sahib kah uThen be-iKHtiyar aae

KHuda jaane ki wo 'beKHud' se itne bad-guman kyun hain

ki har jalse mein farmate hain dekho hoshiyar aae

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayamat Hai Jo Aise Par Dil-e-ummid-war Aae In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Qayamat Hai Jo Aise Par Dil-e-ummid-war Aae is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Qayamat Hai Jo Aise Par Dil-e-ummid-war Aae for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Qayamat Hai Jo Aise Par Dil-e-ummid-war Aae in PDF.