Aab Ki Tasir Mein Hun Pyas Ki Shiddat Mein Hun

aab ki tasir mein hun pyas ki shiddat mein hun

abr ka saya hun lekin dasht ki wusat mein hun

yun to apna lag raha hai jism ka ye ghar mujhe

ruh lekin kah rahi hai dekh main ghurbat mein hun

aur to apni KHabar hai sab mujhe is ke siwa

kaun hun kyun hun kahan hun aur kis haalat mein hun

yaad bhi aata nahin kuchh bhulta bhi kuchh nahin

ya bahut masruf hun main ya bahut fursat mein hun

main hua bedar to har shaKHs ye kahne laga

nind mein hun KHwab mein hun ya kisi ghaflat mein hun

zindagi ne kya diya tha maut ne kya le liya

KHak se paida hua tha KHak ki sohbat mein hun

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aab Ki Tasir Mein Hun Pyas Ki Shiddat Mein Hun In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Aab Ki Tasir Mein Hun Pyas Ki Shiddat Mein Hun is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Aab Ki Tasir Mein Hun Pyas Ki Shiddat Mein Hun for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Aab Ki Tasir Mein Hun Pyas Ki Shiddat Mein Hun in PDF.