Dasht Mein UDte Bagulon Ki Ye Masti Ek Din

dasht mein uDte bagulon ki ye masti ek din

ek din hai sar-bulandi aur pasti ek din

ek din tu bhi isi bazar mein bik jaega

aur koi shai na hogi tujh se sasti ek din

naqsh jitne hain baha le jaenge ashk-e-rawan

aur rah jaengi ye aankhen tarasti ek din

rafta rafta ye dhundalke aur baDhte jaenge

yak-ba-yak viran ho jaegi basti ek din

ek din jal jaunga main bhi chita ki aag mein

KHak mein mil jaegi teri bhi hasti ek din

do dinon ki zindagani kufr kya islam kya

ek din kabe mein sajda but-parasti ek din

gar yun hi ghaalib raha hum par suKHan ka qarz ye

rang laegi hamari faqa-masti ek din

(1327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dasht Mein UDte Bagulon Ki Ye Masti Ek Din In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Dasht Mein UDte Bagulon Ki Ye Masti Ek Din is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Dasht Mein UDte Bagulon Ki Ye Masti Ek Din for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Dasht Mein UDte Bagulon Ki Ye Masti Ek Din in PDF.