Dayar-e-zat Mein Jab KHamushi Mahsus Hoti Hai

dayar-e-zat mein jab KHamushi mahsus hoti hai

to har aawaz jaise gunjti mahsus hoti hai

main thoDi der bhi aankhon ko apni band kar lun to

andheron mein mujhe ek raushni mahsus hoti hai

suna tha main ne ye to pattharon ka shahr hai lekin

yahan to pattharon mein zindagi mahsus hoti hai

tasawwur mein teri taswir main jab bhi banata hun

mujhe har bar rangon ki kami mahsus hoti hai

jise sochon ne Dhaala ho KHayalon ne tarasha ho

wo chehra dekh kar kitni KHushi mahsus hoti hai

yahi bedariyan hain jo mujhe sone nahin detin

inhin bedariyon mein nind bhi mahsus hoti hai

ye ab main aagahi ki kaun si manzil pe aa pahuncha

mujhe sairabiyon mein tishnagi mahsus hoti hai

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dayar-e-zat Mein Jab KHamushi Mahsus Hoti Hai In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Dayar-e-zat Mein Jab KHamushi Mahsus Hoti Hai is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Dayar-e-zat Mein Jab KHamushi Mahsus Hoti Hai for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Dayar-e-zat Mein Jab KHamushi Mahsus Hoti Hai in PDF.