Ek Gardish-e-mudam Bhi Taqdir Mein Rahi

ek gardish-e-mudam bhi taqdir mein rahi

gard-e-safar bhi panw ki zanjir mein rahi

KHwabon ke intiKHab mein kya chuk ho gai

har bar ek shikastagi tabir mein rahi

rangon ka tal-mel bahut KHub tha magar

phir bhi koi kami teri taswir mein rahi

chaaragaron se dard ka darman na ho saka

allah jaane kya kami tadbir mein rahi

kuchh der tak to zaKHm se uljhi rahi dawa

kuchh der tak to dard ki tasir mein rahi

qatil ne sare dagh to pani se dho diye

taza lahu ki bu jo thi shamshir mein rahi

shoala-bayani go mera tarz-e-suKHan nahin

ek aanch si magar meri tahrir mein rahi

(1260) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Gardish-e-mudam Bhi Taqdir Mein Rahi In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Ek Gardish-e-mudam Bhi Taqdir Mein Rahi is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Ek Gardish-e-mudam Bhi Taqdir Mein Rahi for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Ek Gardish-e-mudam Bhi Taqdir Mein Rahi in PDF.