Justuju Meri Kahin Thi Aur Main BhaTka Kahin

justuju meri kahin thi aur main bhaTka kahin

mil gai manzil mujhe to kho gaya rasta kahin

puchhta rahta hun KHud se kya use dekha kahin

aaine ke zawiyon mein kho gaya chehra kahin

mujh ko mat roko ki main itna thakan se chur hun

phir Thahar hi jaunga main ab agar Thahra kahin

muddaton ke baad phir nam ho gain aankhen meri

phir mere ehsas ke patthar mein dil dhaDka kahin

TuT kar chaha tujhe lekin ye hasrat rah gai

tujh se dil ki baat kahte tu agar milta kahin

main kisi surat nikal aaya hun apni zat se

Dar raha hun mil na jae phir wahi duniya kahin

ek hi raftar se kashti ko mat khena yahan

waqt ka dariya kahin uthla hai to gahra kahin

kyun dilasa de rahe ho muntashir karne ke baad

TuT kar phir shaKH se juDta hai ek patta kahin

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Justuju Meri Kahin Thi Aur Main BhaTka Kahin In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Justuju Meri Kahin Thi Aur Main BhaTka Kahin is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Justuju Meri Kahin Thi Aur Main BhaTka Kahin for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Justuju Meri Kahin Thi Aur Main BhaTka Kahin in PDF.