Kabhi Sukun Kabhi Sabr-o-qarar TuTega

kabhi sukun kabhi sabr-o-qarar TuTega

agar ye dil hai to phir bar bar TuTega

wo apne zarf se baDh kar bhara hua baadal

ye dekhna kahin be-iKHtiyar TuTega

wo ek pal bhi kisi roz aa hi jaega

ki jab ye zindagi par e'tibar TuTega

wagarna chalta rahega ye silsila yun hi

main TuT jaun tabhi intishaar TuTega

phir ek bar ghalat nikla ye qayas mera

gira chaTan pe to aabshaar TuTega

tere zawal ki manzil abhi nahin aai

nasha to TuT chuka ab KHumar TuTega

isi KHayal se shayad Dara hua hai saz

agar ye rag na TuTa to tar TuTega

koi udas sa naghma hi gungunaen hum

tabhi tilsim-e-shab-e-intizar TuTega

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Sukun Kabhi Sabr-o-qarar TuTega In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Kabhi Sukun Kabhi Sabr-o-qarar TuTega is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Kabhi Sukun Kabhi Sabr-o-qarar TuTega for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Kabhi Sukun Kabhi Sabr-o-qarar TuTega in PDF.