KHud Par Jo Etimad Tha JhuTa Nikal Gaya

KHud par jo e'timad tha jhuTa nikal gaya

dariya mere qayas se gahra nikal gaya

shayad bata diya tha kisi ne mera pata

milon meri talash mein rasta nikal gaya

suraj ghurub hote hi tanha hue shajar

jaane kahan andheron mein saya nikal gaya

daman ke chaak sine ko baiThe hain jab bhi hum

kyun bar bar sui se dhaga nikal gaya

kuchh aur baDh gai hain shajar ki udasiyan

shaKHon se aaj phir koi patta nikal gaya

pahle to bas lahu pe ye ilzam tha magar

ab aansuon ka rang bhi kachcha nikal gaya

ab to safar ka koi bhi maqsad nahin raha

ye kya hua ki panw ka kanTa nikal gaya

ye ahl-e-bazm kis liye KHamosh ho gae

tauba meri zaban se ye kya nikal gaya

(1203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Par Jo Etimad Tha JhuTa Nikal Gaya In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. KHud Par Jo Etimad Tha JhuTa Nikal Gaya is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem KHud Par Jo Etimad Tha JhuTa Nikal Gaya for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download KHud Par Jo Etimad Tha JhuTa Nikal Gaya in PDF.