Kisi Bhi Samt Niklun Mera Pichha Roz Hota Hai

kisi bhi samt niklun mera pichha roz hota hai

taaqub mein koi gumnam saya roz hota hai

kisi ek moD par har roz mujh ko mil hi jati hai

taaruf zindagi se ghaebana roz hota hai

main ek anjaan manzil ke safar par jab nikalta hun

tasawwur mein koi manus chehra roz hota hai

yahi tanhaiyan hain jo mujhe tujh se milati hain

inhin KHamoshiyon se tera charcha roz hota hai

ye ek ehsas hai aisa kisi se kah nahin sakta

teri maujudgi ka ghar mein dhoka roz hota hai

shajar bechaargi se dekhta hai is tamasha ko

juda shaKHon se us ki koi patta roz hota hai

main apne-ap par bhi KHud ko zahir kar nahin sakta

mere ehsas par ek saKHt pahra roz hota hai

ye manzar dekh kar hairan rah jati hain maujen bhi

yahan sahil pe ek TuTa gharaunda roz hota hai

bahut din se in aankhon ko yahi samjha raha hun main

ye duniya hai yahan to ek tamasha roz hota hai

main ek kirdar ki surat kai parton mein jita hun

meri be-chehragi ka ek chehra roz hota hai

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Bhi Samt Niklun Mera Pichha Roz Hota Hai In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Kisi Bhi Samt Niklun Mera Pichha Roz Hota Hai is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Kisi Bhi Samt Niklun Mera Pichha Roz Hota Hai for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Kisi Bhi Samt Niklun Mera Pichha Roz Hota Hai in PDF.