Kuchh Na Kuchh Silsila Hi Ban Jata

kuchh na kuchh silsila hi ban jata

ret par naqsh-e-pa hi ban jata

kis ne kaghaz pe likh diya mujh ko

is se behtar sada hi ban jata

zindagi ki radif mushkil thi

main faqat qafiya hi ban jata

ashk kuchh der ko hi tham jate

kaam bigDa hua hi ban jata

kashtiyan to KHuda chalata hai

kash main naKHuda hi ban jata

kya mila mujh ko nekiyon ka sila

achchha hota bura hi ban jata

manzilon ki kise tamanna thi

bhiD mein rasta hi ban jata

ab to bas ye hawa ki koshish hai

ek baadal ghana hi ban jata

main bhi chehra agar haTa leta

aaina aaina hi ban jata

hum zara aur sabr kar lete

dard shayad dawa hi ban jata

hum se diwane gar nahin hote

shahr ye hadsa hi ban jata

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Na Kuchh Silsila Hi Ban Jata In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Kuchh Na Kuchh Silsila Hi Ban Jata is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Kuchh Na Kuchh Silsila Hi Ban Jata for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Kuchh Na Kuchh Silsila Hi Ban Jata in PDF.