Main Kya Bataun Kaisi Pareshaniyon Mein Hun

main kya bataun kaisi pareshaniyon mein hun

kaghaz ki ek naw hun aur paniyon mein hun

chehre ke KHadd-o-KHal mein mahdud main nahin

ek aaina hun apni hi hairaniyon mein hun

dushwariyon ko Thik se samjha nahin abhi

mushkil meri yahi hai ki aasaniyon mein hun

maujon se dur rah ke bhi badla nahin nasib

sahil ke aas-pas bhi tughyaniyon mein hun

mujh tak hi lauT aati hai meri sada ki gunj

ek bazgasht sa kahin viraniyon mein hun

oDha hua hai main ne ye kaisa ajab libas

itna Dhaka hua hun ki uryaniyon mein hun

raKHt-e-safar mein kijiye mera shumar bhi

shamil main apni be-sar-o-samaniyon mein hun

(2290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kya Bataun Kaisi Pareshaniyon Mein Hun In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Main Kya Bataun Kaisi Pareshaniyon Mein Hun is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Main Kya Bataun Kaisi Pareshaniyon Mein Hun for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Main Kya Bataun Kaisi Pareshaniyon Mein Hun in PDF.