Maine Socha Tha Mujhe Mismar Kar Sakta Nahin

main ne socha tha mujhe mismar kar sakta nahin

aks to mujh par palaT kar war kar sakta nahin

aaina zahir to kar sakta hai KHadd-o-KHal ko

aaina ehsas ka izhaar kar sakta nahin

meri chahat aur hai mere masail aur hain

KHud ko main har baat par tayar kar sakta nahin

KHud se samjhauta kiya hai zindagi ke nam par

is se baDh kar zindagi ko pyar kar sakta nahin

ya to apne jism ki had se nikalna chhoD de

saya hai to dhup se inkar kar sakta nahin

kashtiyan bhi chahiye aur naKHuda bhi chahiye

tu samundar tair kar to par kar sakta nahin

is se behtar hai ki ye azm-e-safar hi chhoD de

raste ko tu agar hamwar kar sakta nahin

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Socha Tha Mujhe Mismar Kar Sakta Nahin In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Maine Socha Tha Mujhe Mismar Kar Sakta Nahin is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Maine Socha Tha Mujhe Mismar Kar Sakta Nahin for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Maine Socha Tha Mujhe Mismar Kar Sakta Nahin in PDF.