Phir Wo Be-samt UDanon Ki Kahani Sun Kar

phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar

so gaya peD parindon ki kahani sun kar

kya yahi KHwab ki tabir hua karti hai

uD gai nind bhi aankhon ki kahani sun kar

aable aise kabhi phuT kar na roe the

jis tarah roe hain kanTon ki kahani sun kar

hum wo sahra ke musafir hain abhi tak jin ki

pyas bujhti hai sarabon ki kahani sun kar

dard ki had se guzar kar to yahi hona tha

aankh pathra gai ashkon ki kahani sun kar

kashtiyan lauT to aai hain magar ek sahil

soch mein Duba hai maujon ki kahani sun kar

tum ne to sirf bahaaron mein unhen dekha hai

tum bikhar jaoge phulon ki kahani sun kar

sare kirdar siyane the magar jhuTe the

log hairan the bachchon ki kahani sun kar

kitna aasan tha bachpan mein sulana hum ko

nind aa jati thi pariyon ki kahani sun kar

un ko malum tha chehron ki haqiqat kya hai

chup rahe aaine chehron ki kahani sun kar

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wo Be-samt UDanon Ki Kahani Sun Kar In English By Famous Poet Bharat Bhushan Pant. Phir Wo Be-samt UDanon Ki Kahani Sun Kar is written by Bharat Bhushan Pant. Read famous Poem Phir Wo Be-samt UDanon Ki Kahani Sun Kar for youth and Student by Bharat Bhushan Pant. Free Download Phir Wo Be-samt UDanon Ki Kahani Sun Kar in PDF.