Be-talluq Sare Rishte Kaun Kis Ka Aashna

be-talluq sare rishte kaun kis ka aashna

sath sae ki tarah sab aur sab na-ashna

karb jari hai bajae KHun ragon mein sahibo

kaun hai hum sa jahan mein gham se itna aashna

han hamari nibh to sakti thi magar kaise nibhe

apni KHuddari mein hum aur wo wafa na-ashna

ek ek ka munh taken beganagi ke shahr mein

ab kahen kya kis se hum ab kaun apna aashna

niw baiThi ja rahi hai sari diwaren gain

ghar ka basi ghar ki haalat se nahin kya aashna

jo na karna tha karaya aur nadim bhi nahin

ai dil-e-nadan kisi ka ho na tujh sa aashna

ajnabi ek dusre se baat kya karte nahin

ek zara se sath mein kya aashna na-ashna

KHum ba KHum chhalke teri sahba nasha qaim rahe

lazzat-e-zahrab gham se kab hua tha aashna

para-e-simab bhi 'bilqis' Thahra hai kahin

wo talawwun-kesh kis ka dost kis ka aashna

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-talluq Sare Rishte Kaun Kis Ka Aashna In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Be-talluq Sare Rishte Kaun Kis Ka Aashna is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Be-talluq Sare Rishte Kaun Kis Ka Aashna for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Be-talluq Sare Rishte Kaun Kis Ka Aashna in PDF.