Diwar-o-dar Mein SimTa Ek Lams Kanpta Hai

diwar-o-dar mein simTa ek lams kanpta hai

bhule se koi dastak de kar chala gaya hai

sabr o shakeb baqi tab o tawan salamat

dil misl-e-ud jal jal KHushbu bikherta hai

hum KHak ho chuke the apni hi hiddaton mein

miTTi hai rakh phir se paikar naya bana hai

ek zaKHm zaKHm chehra TukDon mein hath aaya

aur hum samajh rahe the aaina juD gaya hai

sahra-e-nim-shab mein be-as reton par

din bhar ke kusht o KHun ka mara taDap raha hai

dahshat-zada zamin par wahshat bhare makan ye

is shahr-e-be-aman ka aaKHir koi KHuda hai

mil jae aablon ko dad-e-musafirat ab

ab dard-e-be-nawai kuchh had se bhi siwa hai

hum par to khul chuka bhi dar band har bala ka

kya jaaniye ajal ko ab intizar kya hai

gul-chiniyon ka hum se 'bilqis' haal puchho

angusht-e-arzu mein kanTa utar gaya hai

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diwar-o-dar Mein SimTa Ek Lams Kanpta Hai In English By Famous Poet Bilqis Zafirul Hasan. Diwar-o-dar Mein SimTa Ek Lams Kanpta Hai is written by Bilqis Zafirul Hasan. Read famous Poem Diwar-o-dar Mein SimTa Ek Lams Kanpta Hai for youth and Student by Bilqis Zafirul Hasan. Free Download Diwar-o-dar Mein SimTa Ek Lams Kanpta Hai in PDF.