Duniya Mein Wafa-kesh Bashar DhunDh Raha Hun

duniya mein wafa-kesh bashar DhunDh raha hun

main naKHl-e-sanobar mein samar DhunDh raha hun

main apni duaon mein asar DhunDh raha hun

tarik fazaon mein qamar DhunDh raha hun

main aur tamasha-e-gul-o-rang pe mail

khoya hua ek zauq-e-nazar DhunDh raha hun

wo subh-e-qayamat mein hue jate hain pinhan

main sham-e-musibat ki sahar DhunDh raha hun

KHushbu ki tarah KHalwat-e-gul se hun ramida

zindan-e-tamanna se mafar DhunDh raha hun

tashbih ke afsun ka asar puchho na 'rana'

shamshir mein us but ki nazar DhunDh raha hun

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Wafa-kesh Bashar DhunDh Raha Hun In English By Famous Poet Birj Lal Raana. Duniya Mein Wafa-kesh Bashar DhunDh Raha Hun is written by Birj Lal Raana. Read famous Poem Duniya Mein Wafa-kesh Bashar DhunDh Raha Hun for youth and Student by Birj Lal Raana. Free Download Duniya Mein Wafa-kesh Bashar DhunDh Raha Hun in PDF.