KHayal Ko Zau Nazar Ko Tabish Nafas Ko RaKHshandagi Milegi

KHayal ko zau nazar ko tabish nafas ko raKHshandagi milegi

bhaDak uTha soz-e-gham jo dil mein to har kahin raushni milegi

KHalish ki tah mein sukun milega alam ki tah mein KHushi milegi

baghaur dekho to maut mein bhi tumhein nai zindagi milegi

maqam-e-insan maqam-e-yazdan mein fasla hai bas ek qadam ka

jahan malegi KHudi ki sarhad wahin had-e-be-KHudi milegi

ye zauq-e-sajda shikast-KHurda tabiaton ki hai KHud-farebi

bashar ki taslim ki tahon mein bashar ki kam-himmati milegi

nigah jitni bulandi hogi ye utni hi arjumand hogi

ba-qadr-e-qurb-e-falak kiran mein hararat-o-raushni milegi

hai KHud-shanasi jahan-shanasi jahan-shanasi KHuda-shanasi

mili jo tujh ko KHudi ki daulat to daulat-e-sarmadi milegi

agar hai teri nigah baaligh agar hai tera shuur puKHta

to jehl ki zulmaton hi se tujh ko mashal-e-agahi malegi

gham-o-musarrat milenge baham to zindagi bhi chamak uThegi

ye ru hai manfi ye ru hai musbat milegi ye raushni milegi

rah-e-talab ke safar mein 'rana' sukun hai KHwab-o-KHayal yaksar

qadam qadam Thokaren lagengi nafas nafas barhami milegi

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal Ko Zau Nazar Ko Tabish Nafas Ko RaKHshandagi Milegi In English By Famous Poet Birj Lal Raana. KHayal Ko Zau Nazar Ko Tabish Nafas Ko RaKHshandagi Milegi is written by Birj Lal Raana. Read famous Poem KHayal Ko Zau Nazar Ko Tabish Nafas Ko RaKHshandagi Milegi for youth and Student by Birj Lal Raana. Free Download KHayal Ko Zau Nazar Ko Tabish Nafas Ko RaKHshandagi Milegi in PDF.