Mohabbat Naghma Bhi Hai Saz Bhi Hai

mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai

shikast-e-saz ki aawaz bhi hai

hai niyyat hi mein dozaKH aur jannat

yahi dam-soz bhi dam-saz bhi hai

na toDen mera saz-e-dil na toDen

ki is mein aap ki aawaz bhi hai

mohabbat yun to hai ek lafz-e-sada

jo samjho to fasana-saz bhi hai

qafas parwaz-e-dushman to hai lekin

qafas ek dawat-e-parwaz bhi hai

yahi gul hai jo taswir-e-KHamoshi

shikast-e-ghuncha ki aawaz bhi hai

nahin zanjir-e-pa hi ye tasawwur

jo bandh jae par-e-parwaz bhi hai

main tera raaz kholun bhi to kyun kar

ki tera raaz mera raaz bhi hai

ye duniya hai jo KHwab-e-naz 'rana'

yahi tabir-e-KHwab-e-naz bhi hai

(1062) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Naghma Bhi Hai Saz Bhi Hai In English By Famous Poet Birj Lal Raana. Mohabbat Naghma Bhi Hai Saz Bhi Hai is written by Birj Lal Raana. Read famous Poem Mohabbat Naghma Bhi Hai Saz Bhi Hai for youth and Student by Birj Lal Raana. Free Download Mohabbat Naghma Bhi Hai Saz Bhi Hai in PDF.