Zabt-e-nala Dil-e-figar Na Kar

zabt-e-nala dil-e-figar na kar

aag ko aur shoala-bar na kar

shab-e-gham dagh-e-dil ki shama jala

chand-taron ka intizar na kar

shauq se phul chun chaman mein magar

KHar-o-KHas ko zalil-o-KHwar na kar

mah-o-anjum pe Dal baDh ke kamand

past zarron par apna war na kar

gamzan ho jo shauq-e-manzil hai

rah ke pech-o-KHam shumar na kar

aur paida kar apne KHun se phul

raat-din matam-e-bahaar na kar

subh ka saz bhi to chheD zara

sham ka zikr bar bar na kar

sar-nigun ho na maut ke aage

zindagani ko sharmsar na kar

kuchh mizaj-e-gul-o-saman bhi samajh

sirf nazzara-e-bahaar na kar

aag se khelna nahin achchha

bhul kar bhi kisi ko pyar na kar

dusron ka to zikr ishq mein kya

apne dil par bhi eatibar na kar

KHar ko bhi nazar mein rakh 'rana'

gul se andaza-e-bahaar na kar

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zabt-e-nala Dil-e-figar Na Kar In English By Famous Poet Birj Lal Raana. Zabt-e-nala Dil-e-figar Na Kar is written by Birj Lal Raana. Read famous Poem Zabt-e-nala Dil-e-figar Na Kar for youth and Student by Birj Lal Raana. Free Download Zabt-e-nala Dil-e-figar Na Kar in PDF.