Kya Raushni-e-husn-e-sabih Anjuman Mein Hai

kya raushni-e-husn-e-sabih anjuman mein hai

fanus mein hai shama ki tan pairahan mein hai

bhaDkati hai junun ko gul-o-lala ki bahaar

ek aag si lagi hui sare chaman mein hai

purze samajh ke jama-e-tan ke uDa junun

wo jama-zeb bhi to usi pairahan mein hai

sukhe shajar hare jo hue phir to kya hua

nasur-e-nau hamare bhi zaKHm-e-kuhan mein hai

bazm-e-KHayal-e-yar mein ghairon ka kya guzar

KHalwat jo chahiye wo usi anjuman mein hai

taqdir-e-reg-e-shisha-e-saat mili mujhe

kulfat safar ki raat din apne watan mein hai

bulbul ki KHush-nawai ka bais hai ishq-e-gul

dil mein jo dard hai to maza bhi suKHan mein hai

rang-e-KHizan bhi jis ka hai rashk-e-bahaar-e-abr

wo kisht zafaran ki hamare watan mein hai

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Raushni-e-husn-e-sabih Anjuman Mein Hai In English By Famous Poet Bishan Narayen Darabar. Kya Raushni-e-husn-e-sabih Anjuman Mein Hai is written by Bishan Narayen Darabar. Read famous Poem Kya Raushni-e-husn-e-sabih Anjuman Mein Hai for youth and Student by Bishan Narayen Darabar. Free Download Kya Raushni-e-husn-e-sabih Anjuman Mein Hai in PDF.