Fitna-e-rozgar Ki Baaten

fitna-e-rozgar ki baaten

aisi hain jaise yar ki baaten

hijr mein wasl-e-yar ki baaten

hain KHizan mein bahaar ki baaten

lala-o-gul kai zikr se behtar

ek jaan-e-bahaar ki baaten

chheD ke sath nok jhok bhi hai

gul se hoti hain KHar ki baaten

sab samajhte hain main kahun na kahun

is dil-e-be-qarar ki baaten

chheD deta hun dil-lagi ke liye

wasl mein intizar ki baaten

jo na tum ruThte to kar lete

aur do chaar pyar ki baaten

nang hain azm-e-mustaqil ke liye

dahr-na-paedar ki baaten

dil-nashin hain basant mein 'kaifi'

ye sharab-o-KHumar ki baaten

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fitna-e-rozgar Ki Baaten In English By Famous Poet Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Fitna-e-rozgar Ki Baaten is written by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Read famous Poem Fitna-e-rozgar Ki Baaten for youth and Student by Chandar Bhan Kaifi Delhwi. Free Download Fitna-e-rozgar Ki Baaten in PDF.