Kisi Qalam Se Kisi Ki Zaban Se Chalta Hun

kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun

main tir kis ka hun kis ki kaman se chalta hun

main thak gaya hun Thahar kar kisi samundar sa

ba-rang-e-abr tere aastan se chalta hun

tu chhoD dega adhura mujhe kahani mein

isi liye main teri dastan se chalta hun

jo mere sine ke baen taraf dhaDakta hai

usi ke naqsh-e-qadam par wahan se chalta hun

agarche chaho to logon ko beach le aana

main aaj apne tere darmiyan se chalta hun

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Qalam Se Kisi Ki Zaban Se Chalta Hun In English By Famous Poet Dheerendra Singh Faiyaz. Kisi Qalam Se Kisi Ki Zaban Se Chalta Hun is written by Dheerendra Singh Faiyaz. Read famous Poem Kisi Qalam Se Kisi Ki Zaban Se Chalta Hun for youth and Student by Dheerendra Singh Faiyaz. Free Download Kisi Qalam Se Kisi Ki Zaban Se Chalta Hun in PDF.