Jag Mein Aata Hai Har Bashar Tanha

jag mein aata hai har bashar tanha

lauT jata hai phir kidhar tanha

kuchh dua bhi to ho mariz ke nam

kab dawa ka hua asar tanha

muddaton KHud ko hi tarasha hai

sip mein rah ke ek guhar tanha

umr-bhar sab ke kaam aaya jo

ro paDa KHud ko dekh kar tanha

sab masarrat mein sath dete hain

gham uThaenge hum magar tanha

tark ulfat jo us ne ki hum se

thamte hum rahe jigar tanha

chhanw mein baiTh kar gae hain sabhi

rah gaya phir se ek shajar tanha

kahkashan bhi hai aur tare bhi

chand aata hai kyun nazar tanha

yaadon ke karwan mile hum se

KHud ko samjhe the hum jidhar tanha

chaar pal wasl ke jo bit gae

KHud ko paya hai kis qadar tanha

beach apnon ke rah ke bhi 'mona'

zindagi hum ne ki basar tanha

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jag Mein Aata Hai Har Bashar Tanha In English By Famous Poet Elizabeth Kurian Mona. Jag Mein Aata Hai Har Bashar Tanha is written by Elizabeth Kurian Mona. Read famous Poem Jag Mein Aata Hai Har Bashar Tanha for youth and Student by Elizabeth Kurian Mona. Free Download Jag Mein Aata Hai Har Bashar Tanha in PDF.