Aaj Dil Hai Ki Sar-e-sham Bujha Lagta Hai

aaj dil hai ki sar-e-sham bujha lagta hai

ye andhere ka musafir bhi thaka lagta hai

apne bahke hue daman ki KHabar li na gai

jis ko dekho charaghon se KHafa lagta hai

bagh ka phul nahin lala-e-sahra hun main

lu ka jhonka bhi mujhe baad-e-saba lagta hai

tangi-e-zarf-e-nazar kasrat-e-nazzara-e-dahar

pyas kachchi ho to har jam bhara lagta hai

kis takalluf se girah khol raha hun dil ki

uqda-e-dard tera band-e-qaba lagta hai

KHar-zaron ko sikha de na gulistan ka chalan

ye musafir to koi aabla-pa lagta hai

dekh tu rauzan-e-zindan se zara su-e-chaman

aaj kyun dil ka har ek zaKHm hara lagta hai

kaun 'afzal' ke siwa aisi ghazal chheDega

dosto ye wahi aashufta-nawa lagta hai

(977) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Dil Hai Ki Sar-e-sham Bujha Lagta Hai In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Aaj Dil Hai Ki Sar-e-sham Bujha Lagta Hai is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Aaj Dil Hai Ki Sar-e-sham Bujha Lagta Hai for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Aaj Dil Hai Ki Sar-e-sham Bujha Lagta Hai in PDF.