Dars-e-aram Mere Zauq-e-safar Ne Na Diya

dars-e-aram mere zauq-e-safar ne na diya

mujh ko manzil pe bhi zalim ne Thaharne na diya

raqs karti rahi tufan mein kashti meri

meri himmat ne mujhe par utarne na diya

zindagi maut se bad-tar thi par ai wada-e-dost

lazzat-e-kashmakash-e-shauq ne marne na diya

multafit kal nazar aati thin nigahen un ki

kahin dhoka to mujhe meri nazar ne na diya

yun to rahne ko pareshani-e-KHatir hi rahi

teri zulfon ko magar main ne bikharne na diya

phul to phul the ai KHana-bar-andaz-e-chaman

tu ne kanTon se bhi daman mujhe bharne na diya

inhin alfaz mein hai meri kahani 'afzal'

gham ne jine na diya shauq ne marne na diya

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dars-e-aram Mere Zauq-e-safar Ne Na Diya In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Dars-e-aram Mere Zauq-e-safar Ne Na Diya is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Dars-e-aram Mere Zauq-e-safar Ne Na Diya for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Dars-e-aram Mere Zauq-e-safar Ne Na Diya in PDF.