Jam Khanke To Sambhaala Na Gaya Dil Tum Se

jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se

hai abhi dur bahut zabt ki manzil tum se

hum to dariya mein bahut dur nikal aae hain

lauT jao abhi nazdik hai sahil tum se

justuju sarhad-e-idrak se aage na baDhi

do-qadam tai na hua mahala-e-dil tum se

KHalwat-e-shauq ke dar band kiye leta hun

ab shikayat na karegi koi mahfil tum se

saKHt-jaani meri aasuda-e-KHanjar to na thi

kyun nikala gaya hausla-e-dil tum se

tum to naghmon ki fasilon pe bahut nazan the

kyun dabaya na gaya shor-e-salasil tum se

dhaDkanon ko nazar-andaz kiye jate ho

phir na kahna ki muKHatab na hua dil tum se

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jam Khanke To Sambhaala Na Gaya Dil Tum Se In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Jam Khanke To Sambhaala Na Gaya Dil Tum Se is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Jam Khanke To Sambhaala Na Gaya Dil Tum Se for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Jam Khanke To Sambhaala Na Gaya Dil Tum Se in PDF.