Lahu Ne Kya Tere KHanjar Ko Dilkashi Di Hai

lahu ne kya tere KHanjar ko dilkashi di hai

ki hum ne zaKHm bhi khae hain dad bhi di hai

libas chhin liya hai barahnagi di hai

magar mazaq to dekho ki aankh bhi di hai

hamari baat pe kis ko yaqin aaega

KHizan mein hum ne bashaarat bahaar ki di hai

dhara hi kya tha tere shahr-e-be-zamir ke pas

mere shuur ne KHairaat-e-agahi di hai

hayat tujh ko KHuda aur sar-buland kare

teri baqa ke liye hum ne zindagi di hai

kahan thi pahle ye bazar-e-sang ki raunaq

sar-e-shikasta ne kaisi hamahami di hai

charagh hun meri kirnon ka qarz hai sab par

ba-qadr-e-zarf nazar sab ko raushni di hai

chali na phir kisi mazlum ke gale pe chhuri

hamari maut ne kitnon ko zindagi di hai

tere nisab mein daKHil thi aastan-bosi

mere zamir ne talim-e-sarkashi di hai

kaTegi umr safar jada-e-afrini mein

teri talash ne taufiq-e-gumrahi di hai

hazar dida-tasawwur hazar rang-e-nazar

hawas ne husn ko bisyar chehragi di hai

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ne Kya Tere KHanjar Ko Dilkashi Di Hai In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Lahu Ne Kya Tere KHanjar Ko Dilkashi Di Hai is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Lahu Ne Kya Tere KHanjar Ko Dilkashi Di Hai for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Lahu Ne Kya Tere KHanjar Ko Dilkashi Di Hai in PDF.