Nigah-e-baghban Kuchh Mehrban Malum Hoti Hai

nigah-e-baghban kuchh mehrban malum hoti hai

zamin par aaj shaKH-e-ashiyan malum hoti hai

bulaya ja raha hai jaanib-e-dar-o-rasan hum ko

muqaddar mein hayat-e-jawidan malum hoti hai

nigahon mein hain kis ke aariz-e-gul-rang ke jalwe

ki duniya gulistan-dar-gulistan malum hoti hai

meri kashti ko shikwa bahr-e-be-payan ki tangi ka

tujhe ek aabju bhi be-karan malum hoti hai

pahunch kar aasman par bhi to dekho ai zamin walo

wahan se ye zamin bhi aasman malum hoti hai

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-baghban Kuchh Mehrban Malum Hoti Hai In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Nigah-e-baghban Kuchh Mehrban Malum Hoti Hai is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Nigah-e-baghban Kuchh Mehrban Malum Hoti Hai for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Nigah-e-baghban Kuchh Mehrban Malum Hoti Hai in PDF.