Ujala Kaisa Ujale Ka KHwab La Na Sake

ujala kaisa ujale ka KHwab la na sake

sahar se mang ke hum aaftab la na sake

hum apne chehra-e-be-dagh ke liye ai aql

teri dukan se koi naqab la na sake

jo chand par bhi gae hum to KHak hi lae

zamin ki nazr ko ek aaftab la na sake

gae to the tere jalwon ko jaanchne lekin

bacha ke hum nazar-e-intiKHab la na sake

zamin ki baat zamin ki zaban mein kahna thi

hum aasman se koi kitab la na sake

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ujala Kaisa Ujale Ka KHwab La Na Sake In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Ujala Kaisa Ujale Ka KHwab La Na Sake is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Ujala Kaisa Ujale Ka KHwab La Na Sake for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Ujala Kaisa Ujale Ka KHwab La Na Sake in PDF.