Ab Sarab Ke Chashme Maujzan Nahin Hote

ab sarab ke chashme maujzan nahin hote

KHushk ho gae shayad tishnagi ke sab sote

nind mein bhi chadar ka itna pas hai tum ko

kuchh to panw phailao is tarah nahin sote

kaisi raat aai hai nind uD gai sab ki

manzilen thapakti hain qafile nahin sote

KHwab KHud haqiqat hain aankh khol kar dekho

kis ne kah diya tum se KHwab sach nahin hote

chaak ho gaya daman hath ho gae zaKHmi

ek dagh-e-ruswai aur kis tarah dhote

girya-o-tabassum to hain naqab chehron ke

aaine nahin hanste aaine nahin rote

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Sarab Ke Chashme Maujzan Nahin Hote In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Ab Sarab Ke Chashme Maujzan Nahin Hote is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Ab Sarab Ke Chashme Maujzan Nahin Hote for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Ab Sarab Ke Chashme Maujzan Nahin Hote in PDF.