In UjDi Bastiyon Ka Koi To Nishan Rahe

in ujDi bastiyon ka koi to nishan rahe

chulhe jalen ki ghar hi jalen par dhuan rahe

nero ne bansri ki nai tan chheD di

ab rome ka nasib faqat dastan rahe

pani samundaron ka na chhalni se mapiye

aisa na ho ki sara kiya raegan rahe

mujh ko supurd-e-KHak karo is dua ke sath

aangan mein phul khilte rahen aur makan rahe

kaTi hai umr raat ki pahnaiyon ke sath

hum shahr-e-be-charagh mein ai be-kasan rahe

'azar' har ek gam pe kaTa hai sang-e-jabr

hathon mein tesha samne koh-e-giran rahe

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In UjDi Bastiyon Ka Koi To Nishan Rahe In English By Famous Poet Ezaz Ahmad Azar. In UjDi Bastiyon Ka Koi To Nishan Rahe is written by Ezaz Ahmad Azar. Read famous Poem In UjDi Bastiyon Ka Koi To Nishan Rahe for youth and Student by Ezaz Ahmad Azar. Free Download In UjDi Bastiyon Ka Koi To Nishan Rahe in PDF.