Bala Se Barq Ne Phunka Jo Aashiyane Ko

bala se barq ne phunka jo aashiyane ko

chaman mein kya hai pata chal gaya zamane ko

kisi ka dar jo mila to kisi ke ho ke rahe

kisi ke waste Thukra diya zamane ko

urus-e-zist unhin ko gale lagati hai

jo dar par bhi sunate hain haq zamane ko

KHulus-e-dil na ho shamil to bandagi kya hai

zamana khel samajhta hai sar jhukane ko

ubhar rahi thi jahan se hayat-e-nau ki kiran

bula raha tha usi samt main zamane ko

badal sako to badal do hayat ke tewar

lab-e-hayat taraste hain muskurane ko

uThaun barq ke ehsan kis liye 'faizi'

main KHud hi aag laga dun na aashiyane ko

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bala Se Barq Ne Phunka Jo Aashiyane Ko In English By Famous Poet Faizi Nizam Puri. Bala Se Barq Ne Phunka Jo Aashiyane Ko is written by Faizi Nizam Puri. Read famous Poem Bala Se Barq Ne Phunka Jo Aashiyane Ko for youth and Student by Faizi Nizam Puri. Free Download Bala Se Barq Ne Phunka Jo Aashiyane Ko in PDF.