Gham-e-jaanan Ke Siwa Kuchh Hamein Pyara Na Hua

gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua

hum kisi ke na hue koi hamara na hua

kya usi ka hai wafa nam-e-mohabbat hai yahi

mehrban hum pe kabhi wo sitam-ara na hua

lakh tufan-e-hawadis ne qadam tham liye

meri ghairat ko palaTna bhi gawara na hua

dil wahi dil hai haqiqat ki nazar mein ai dil

sard jis dil mein mohabbat ka sharara na hua

DhunDhta aaega kal ahl-e-mohabbat ko yahi

gham nahin aaj zamana jo hamara na hua

ahl-e-duniya ne masarrat hi masarrat chahi

hum ko is gham ke siwa kuchh bhi gawara na hua

jaan di hai dil-e-KHuddar ne kis mushkil se

aaj baalin pe wo KHud-bin-o-KHud-ara na hua

aankh su-e-haram-o-dair kabhi uTh jati

ishq ki rah mein ye bhi to gawara na hua

KHak chhani chaman-o-dasht ki barson 'faizi'

aah taskin-e-nazar koi nazara na hua

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-jaanan Ke Siwa Kuchh Hamein Pyara Na Hua In English By Famous Poet Faizi Nizam Puri. Gham-e-jaanan Ke Siwa Kuchh Hamein Pyara Na Hua is written by Faizi Nizam Puri. Read famous Poem Gham-e-jaanan Ke Siwa Kuchh Hamein Pyara Na Hua for youth and Student by Faizi Nizam Puri. Free Download Gham-e-jaanan Ke Siwa Kuchh Hamein Pyara Na Hua in PDF.